Wednesday 19 March 2014

Aa Bata Denge Tujhe Kaise Jiya Jata Hai Song Lyrics


Aa Bata Denge Tujhe Kaise Jiya Jata Hai Song Lyrics from Bollywood Hindi Movie Dost (1974). The song has been sung by Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Shatrughan Sinha and Music of Aa Bata Denge Tujhe Kaise Jiya Jata Hai Hindi Song was composed by Laxmikant-Pyarelal.

Aa Bata Denge Tujhe Kaise Jiya Jata Hai Song Lyrics 


Kaise jite hain bhala, hamse sikho yeh ada - (2)
 Aise kyun jinda hain log, jaise sharminda hain log
 Dil peh sehkar sitam ke tir bhee
 Pehankar pavun me janjir bhee, raks kiya jatha hai
 Aa bata denge tujhe kaise jiya jata hai - (2)

 Dar sey khamosh hai jo, kaisa befir hain woh
 Ha woh insan nahee, ek tasvir hain woh
 Toh bafthae khuda, jisse darta hai apan
 Aur iss garibee me, badee mauj karta hai apan

 Pareshan lakh sahee, gul nahee khakh sahee
 Jindagee hai lajawab, yeh woh beva hai janab
 Khubsurat hai jo dulhan sey bhee
 Dost tho dost hai dushman sey bhee, pyar kiya jata hai
 Aa batadenge tujhe kaise jiya jata hai - (2)

 Chij iss ghum sey badee, iss jamane me nahee
 Jo maja rone me hai, muskurane me nahee

 Isliye toh bhai, rukhee sukhee jo mile pet bharne ke liye
 Aur kafee do gaj hai jamin, jine marne ke liye

 Kaise nadan hai woh, ghum sey anjan hai jo
 Ranj naa hota agar, kya kushee kee thee kadar
 Dard khud hai maseeha dosto, dard sey bhee dava kaa dosto
 Kam liya ja tha hai..
 Aa batadenge tujhe kaise jiya jatha hai

 Chain mehalo kee nahee, rang raliyo me mujhe
 Dedo thodee see jagah apnee galiyo me mujhe
 Jhum kar nachne do, aaj mastee me jara
 Le chalo sath mujeh apnee bastee me jara
 Bana ho sone kaa bhee, pinjara hai pinjara jee
 Paisa kis kam kaa hai, dhoka bas nam kaa hai
 Rok le jo labo peh git ko, apne hatho sey aisee rit ko
 Thod diya jata hai..
 Maine bhee sikh liya kaise jiya jatha hai
 Aa bata denge tujhe kaise jiya jatha hai - (7)

0 comments:

Post a Comment