Monday, 23 December 2013

Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banke Lyrics - Aan Baan (1972)


Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banke Lyrics from Hindi Movie Banphool (1971). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banke Song was composed by Shankar-Jaikishan, with the lyrics penned by Gulshan Bawra.

Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banke Lyrics


Bade bhai ki baraat mein bhai naachate gaate chalate hai
Aap naachenge nahi
Kyun nahi laala ji main sirf naachunga nahi, gaayunga bhi
Sarkaar
Mat puchho jo khushi ke maare, aaj hai apana haal
Aankhon mein chhaayi hai masti, behek rahi hai chaal
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake - (x2)
Aaj duniya hai hamaari -2 chalenge tan ke
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke - (x2)

(Pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehare mein
Hamne apane armaano ke phul sajaaye sehare mein) - (x2)
Dil ke gulshan se -2 laaye hai jo chun chunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake - (x2)

(Waha talak khushiya hi khushiya, najar jaha tak jaati hai
Khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai) - (x2)
Isi din ko -2 gujaare din gin ginake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke - (x2)

(Khushi mein dhadkan tej ho gayi, tej karo lay baaje ki
Apani manjil tak aa pahunchi, ghodi dulhe raaje ki) - (x2)
Ho dil jhume hoy -2 shehnaayi ki sadaayein sunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke - (x2)
Aaj duniya hai hamaari -2
chalenge tan ke
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke ( x2)

0 comments:

Post a Comment