Thursday, 30 January 2014

Mohammad Rafi Sad Songs Lyrics


Mohammad Rafi Sad Songs Lyrics: There are 15 Songs of Mohammad Rafi Sad Songs Lyrics, Here is Presented a List with their link of Mohammad Rafi Sad Songs Lyrics.

Mohammad Rafi Sad Songs Lyrics List:


S:No.Track NameSong LyricsSingerMovie
01Aaja Tujhko Pukare Mera Pyar Song LyricsMohammad RafiNeel Kamal (1968)
02Apni To Har Aah Ek Toofan Hai Song LyricsMohammad RafiKala Bazaar (1960)
03Din Dhal Jaye Haye Song LyricsMohammad RafiGuide(1965)
04Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song LyricsMohammad RafiPyaar Ki Jeet (1948)
05Gham Uthane Ke Liye Song LyricsMohammad RafiMere Huzoor (1968)
06Jo Guzar Rahi Hai Mujh Par Song LyricsMohammad RafiMere Huzoor (1968)
07Kabhi Khud Pe Kabhi Halat Pe Song LyricsMohammad RafiHum Dono (1961)
08Khoya Khoya Chand Khula Aasman Song LyricsMohammad RafiKala Bazar (1960)
09Kya Se Kya Ho Gaya Song LyricsMohammad RafiGuide (1965)
10Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song LyricsMohammad RafiUran Khatola (1955)
11Rang Aur Noor Ki Barat Song LyricsMohammad RafiGazal (1964)
12Saathi Na Koi Manzil Song LyricsMohammad RafiBombai Ka Babu (1960)
13Sau Baar Janam Lenge Song LyricsMohammad RafiUstadon Ke Ustad (1963)
14Takra Gaya Tumse Dil Hee To Hai Song LyricsMohammad RafiAan (1952)
15Toote Huye Khwabon Ne Song LyricsMohammad RafiMadhumati (1958)

Monday, 27 January 2014

Top Ten Mohammad Rafi Solo Songs Lyrics


Top Ten Mohammad Rafi Solo Songs Lyrics: There are 10 Songs of Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics, Here is Presented a List with their link of Top Ten Mohammad Rafi Solo Songs Lyrics.

Top Ten Mohammad Rafi Solo Songs Lyrics:

S:No.Track NameSong LyricsSingerMovie
01Baharon Phool Barsao Song LyricsMohammad RafiSuraj (1966)
02Chale The Saath MilkarSong LyricsMohammad RafiHaseena Maan Jayegi (1969)
03Ek Dil Ke Tukde Hazaar HuyeSong LyricsMohammad RafiPyaar Ki Jeet (1948)
04Mohabbat Ki Rahon Mein ChalnaSong LyricsMohammad RafiUran Khatola (1955)
05Nafrat Ki Duniya Ko Chhod KeSong LyricsMohammad RafiHaathi Mere Saathi
06Pukarta Chala Hoon Main Song LyricsMohammad RafiMere Sanam (1965)
07Rang Aur Noor Ki BaratSong LyricsMohammad RafiGazal (1964)
08Sau Baar Janam Lenge Song LyricsMohammad RafiUstadon Ke Ustad (1963)
09Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song LyricsMohammad RafiSasural (1961)
10Toote Huye Khwabon Ne Song LyricsMohammad RafiMadhumati (1958)

Monday, 20 January 2014

Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics


Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics: There are about 52 Songs of Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics, Here is Presented a List with their link of Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics.

Mohammad Rafi Best Hindi Songs Lyrics List:


  1. Aaja Tujhko Pukare Mera Pyar Song Lyrics - Neel Kamal (1968)
  2. Apni Azadi Ko Hum Hargiz Song Lyrics - Leader (1964)
  3. Apni To Har Aah Ek Toofan Hai Song Lyrics - Kala Bazaar (1960)
  4. Babul Ki Duayen Leti Ja Song Lyrics - Neel Kamal (1968)
  5. Bahar E Husn Teri Song Lyrics - Aao Pyaar Karen (1964)
  6. Baharo Phool Barsao Song Lyrics - Suraj (1966)
  7. Chale The Saath Milkar Song Lyrics - Haseena Maan Jayegi (1969)
  8. Dil Deke Dekho Ji Song Lyrics - Dil Deke Dekho (1959)
  9. Dil Ka Bhanwar Kare Pukar Song Lyrics - Tere Ghar Ke Samne (1963)
  10. Din Dhal Jaye Haye Song Lyrics - Guide(1965)
  11. Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song Lyrics - Pyar Ki Jeet (1948)
  12. Gham Uthane Ke Liye Song Lyrics - Mere Huzoor (1968)
  13. Gulabi Gulabi Aankhon Se Song Lyrics - Banphool (1971)
  14. Hum Aur Tum Aur Yeh Sama Song Lyrics - Dil Deke Dekho (1959)
  15. Hum Bekhudi Mein Song Lyrics - Kala Pani (1958)
  16. Humi Se Mohabbat Hami Se Ladai Song Lyrics - Leader (1964)
  17. Hum Jab Chale To Song Lyrics - Hum Hindustani (1960)
  18. Humko Tumhare Ishq Ne Song Lyrics - Ek Musafir Ek Hasina (1962)
  19. Jab Tum Ho Mere Humsafar Song Lyrics - Aan Baan (1972)
  20. Jo Guzar Rahi Hai Mujh Par Song Lyrics - Mere Huzoor (1968)
  21. Jude Mein Gajra Mat Bandho Lyrics - Dhoop Chhaon (1977) 
  22. Kabhi Khud Pe Kabhi Halat Pe Song Lyrics - Hum Dono (1961)
  23. Kaun Kisi Ko Bandh Saka Hai Song Lyrics - Kaalia (1981)
  24. Kauwa Chala Hans Ki Chaal Song Lyrics - Around The World (1967)
  25. Khoya Khoya Chand Khula Aasman Song Lyrics - Kala Bazar (1960)
  26. Kya Se Kya Ho Gaya Song Lyrics - Guide (1965)
  27. Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banke Lyrics - Aan Baan (1972)
  28. Main Wohi Wohi Baat Song Lyrics - Naya Din Nai Raat (1974)
  29. Main Zindagi ka Saath Song Lyrics - Hum Dono (1961)
  30. Meri Awaaz Suno Song Lyrics - Naunihal (1967)
  31. Mohabbat Choome Jinke Haath Song Lyrics - Aan (1952)
  32. Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song Lyrics - Uran Khatola (1955)
  33. Mujhe Dekh Kar Aapka Muskurana Song Lyrics - Ek Musafir Ek Hasina (1962)
  34. Mujhe Duniya Walo Sharabi Na Samjho Song Lyrics - Leader (1964)
  35. Nafrat Ki Duniya Ko Chhod Ke Song Lyrics - Haathi Mere Saathi (1971)
  36. O Meri Sun Le Din Dayal Song Lyrics - Thokar (1974)
  37. Pardesiyon Se Na Ankhiyan Milana Song Lyrics - Jab Jab Phool Khile (1965)
  38. Pukarta Chala Hoon Main Song Lyrics - Mere Sanam (1965)
  39. Rang Aur Noor Ki Baraat Song Lyrics - Gazal (1964)
  40. Rukh Se Zara Naqab Utha Do Song Lyrics - Mere Huzoor (1968)
  41. Saathi Na Koi Manzil Song Lyrics - Bombai Ka Babu (1960)
  42. Sagar Nahi Hai To Kiya Hai Song Lyrics - Naatak (1975) 
  43. Sau Baar Janam Lenge Song Lyrics - Ustadon Ke Ustad (1963)
  44. Sharma Ke Yun Na Dekh Song Lyrics - Neel Kamal (1968)
  45. Takra Gaya Tumse Dil Hee To Hai Song Lyrics - Aan (1952)
  46. Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song Lyrics - Sasural (1961)
  47. Tere Mere Sapne Song Lyrics - (Guide 1965)
  48. Toote Huye Khwabon Ne Song Lyrics - Madhumati (1958)
  49. Tu Kahan Ye Bata Song Lyrics - Tere Ghar Ke Samne (1963)
  50. Upar Dekho Ya Neeche Aage Dekho Song Lyrics - Aan Baan (1972)
  51. Ye Khidki Jo Band Rehti Hai Song Lyrics - Main Tulsi Tere Aangan Ki -1978 
  52. Yeh Reshmi Zulfein Yeh Sharbati Aankhen Song Lyrics - Do Raaste (1969)

Baharo Phool Barsao Song Lyrics - Suraj (1966)


Baharo Phool Barsao Song Lyrics from Hindi Movie Suraj (1966). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Baharo Phool Barsao Song was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi, with the lyrics penned by Hasrat Jaipuri.

Video: Baharon Phool Barsao - Rajendra Kumar & Vyjayanthimala - Suraj (1966)


Baharo Phool Barsao Song Lyrics


Bahaaro phul barasaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai
Bahaaro phul barasaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai
Havaao raagini gaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai

O laali phul ki mehandi lagaa in gore haatho me
Utar aa ai ghataa kaajal, lagaa in pyaari aankho me
Sitaaro maang bhar jaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai
Bahaaro phul barasaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai

Nazaaro har taraf ab taan do ik nur ki chaadar
Badaa sharmilaa dilabar hai, chalaa jaaye na sharamaa kar
Zaraa tum dil ko bahalaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai
Bahaaro phul barasaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai

Sajaai hai javaan kaliyo ne ab ye sej ulfat ki
Inhe maalum thaa aaegi ik din rut muhabbat ki
Fizaao rag bikharaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai
Bahaaro phul barasaao
Meraa mahabub aayaa hai
Meraa mahabub aayaa hai.

Pukarta Chala Hoon Main Song Lyrics - Mere Sanam (1965)


Pukarta Chala Hoon Main Song Lyrics from Hindi Movie Mere Sanam (1965). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Pukarta Chala Hoon Main Song was composed by  Omkar Prasad Nayyar, with the lyrics penned by Majrooh Sultanpuri.

Pukarta Chala Hoon Main Song Lyrics


Pukaartaa chalaa hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ik nigaah pyaar ki
Pukaartaa chalaa hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ik nigaah pyaar ki
Pukaartaa chalaa hoon main

Ye dillagi ye shokhiyaan salaam ki
Yahi to baat ho rahi hai kaam ki
Koi to mud ke dekh lega is taraf
Koi nazar to hogi mere naam ki
Pukaartaa chalaa hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ik nigaah pyaar ki
Pukaartaa chalaa hoon main

Suni meri sadaa to kis yaqeen se
Ghataa utar ke aa gayi zameen pe
Rahi yahi lagan to ai dil e javaan
Asar bhi ho rahega ik haseen pe
Pukaartaa chalaa hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ik nigaah pyaar ki
Pukaartaa chalaa hoon main.

Sau Baar Janam Lenge Song Lyrics - Ustadon Ke Ustad (1963)


Sau Baar Janam Lenge Song Lyrics from Hindi Movie Ustadon Ke Ustad (1963). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Sau Baar Janam Lenge Song was composed by  Ravi Shankar Sharma (Ravi), with the lyrics penned by Asad Bhopali.

Sau Baar Janam Lenge Song Lyrics


Sau bar janam lenge
Sau bar fana honge
Ai jaane wafa phir bhi
Ham tum naa juda honge
Sau bar janam lenge
Sau bar fana honge

Kismat hame milane se
Rokegi bhala kab tak
Inn pyar ki raho mein
Bhatakegi wafa kab tak
Kadamo ke nisha khud hi
Manjil ka pata honge
Sau bar janam lenge
Sau bar fana hoge

Ye kaisi udasi hai
Jo husn pe chhayi hai
Ham dur nahi tumse
Kahane ko judayi hai
Arman bhare do dil
phir Ek jagah honge

Sau bar janam lenge
Sau bar fana honge
Ai jaane wafa phir bhi
Ham tum naa juda honge
Sau bar janam lenge
Sau bar fana honge.

Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song Lyrics - Sasural (1961)


Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song Lyrics from Hindi Movie Sasural (1961). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song was composed by  Shankar Jaikishan, with the lyrics penned by Hasrat Jaipuri .

Teri Pyari Pyari Soorat Ko Song Lyrics


Teri Pyaari Pyaari Surat ko kissi Ki nazar na lage chashme-baddur (2)
Mukhde ko chhupa lo aanchal mein kahin meri nazar na lage chashme-baddur

Yoon na akele phira karo sab ki nazar se daraa karo (2)
Phool se jyada nazuk ho tum jaal sambhal kar chala karo
Zulfon ko gira lo gaalo par mausam ki nazar na lage chashme-baddur
Teri pyaari pyaari surat ko kissi ki nazar na lage chashme-baddur

Ek jhalak jo paata hai raahi wahin ruk jaata hai (2)
Dekh ke tera roop salona chaand bhi sir ko chhupaata hai
Dekha na karo tum aaina kahin uss ki nazar na lage chashme-baddur
Teri pyaari pyaari surat ko kissi ki nazar na lage chashme-baddur
Mukhde ko chhupa lo aanchal mein kahin meri nazar na lage chashme-baddur

Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song Lyrics - Pyar Ki Jeet (1948)


Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song Lyrics from Hindi Movie Pyar Ki Jeet (1948). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song was composed by  Husnalal Bhagatram, with the lyrics penned by Qamar Jalalabadi.

Video: Ek Dil Ke Tukde Hazaar Hue by M Rafi -Pyar Ki Jeet (1948)


Ek Dil Ke Tukde Hazaar Huye Song Lyrics


Ik Dil Ke Tukade Hazaar Huye -2
Koi Yahaan Giraa Koi Vahaan Giraa -2
Bahate Huye Aansu Ruk Naa Sake -2
Koi Yahaan Giraa Koi Vahaan Giraa -2
Jivan Ke Safar Mein Hum Jinako Samajhe The Hamaare Saathi Hain -2
Do Kadam Chale Phir Bichhad Gaye -2
Koi Yahaan Giraa Koi Vahaan Giraa -2
Ik Dil Ke Tukade Hazaar Huye -2
Aashaaon Ke Tinake Chun-chun Kar Sapanon Kaa Mahal Banaayaa Thaa -2
Tufaan Se Tinake Bikhar Gaye -2
Koi Yahaan Giraa Koi Vahaan Giraa -2
Ik Dil Ke Tukade Hazaar Huye -2 

Nafrat Ki Duniya Ko Chhod Ke Song Lyrics - Haathi Mere Saathi (1971)


Nafrat Ki Duniya Ko Chhod Ke Song Lyrics from Hindi Movie Haathi Mere Saathi (1971). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Nafrat Ki Duniya Ko Chhod Ke Song was composed by Laxmikant-Pyarelal, with the lyrics penned by Anand Bakshi.

Nafrat Ki Duniya Ko Chhod Ke Song Lyrics


(Nafrat kee duneeya ko chhodke
 Pyar kee duneeya me, khush rehna mere yaar) 3
 Iss jhut kee nagaree se todake naata ja mere pyaar
 Amar rahe tera pyar, khush rehna mere yaar

 Jab jaanwar koi insaan ko maare
 Kehate hain duneeya me wehshee use saare
 Ek jaanwar kee jaan aaj insaano ne lee hai
 Chup kyon hai sansaar, khush rehna mere yaar

 Bas aakhiree sun le yeh mel hai apna
 Bas khatm abb saathee yeh khel hai apna
 Abb yaad me teree bit jaayenge ro ro ke
 Jivan ke din chaar, khush rehna mere yaar

Rang Aur Noor Ki Baraat Song Lyrics - Gazal (1964)


Rang Aur Noor Ki Baraat Song Lyrics from Hindi Movie Gazal (1964). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Rang Aur Noor Ki Baraat Song was composed by  Madan Mohan Kohli, with the lyrics penned by Sahir Ludhianvi.

Rang Aur Noor Ki Baraat Song Lyrics


(Rang Aur Noor Ki Baraat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun)-2

(Maine Jazabaat Nibhaae Hain, Usulon Ki Jagah)-2
Apane Aramaan Piro Laaya Hun Phoolon Ki Jagah
Tere Sehare Ki..
Tere Sehare Ki, Ye Saugaat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun

(Ye Mere Sher Mere Aakhari Nazaraane Hain)-2
Main Un Apanon Main Hun, Jo Aaj Se Be-Gaane Hain
Be-Taaluq Si Mulaakaat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun

(Surkh Jode Ki Tabotaab Mubaarak Ho Tujhe)-2
Teri Aankhon Ka Naya Khwaab Mubaarak Ho Tujhe
Main Ye Khwaahish, Ye Khayaalaat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun

(Kaun Kahataa Hai, Ke Chaahat Pe Sabhi Ka Haq Hai)-2
Tu Jise Chaahe Tera Pyaar Usi Ka Haq Hai
Mujhase Kah De...
Mujhase Kah De, Main Tera Haath Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun

Rang Aur Noor Ki Baaraat Kise Pesh Karun
Ye Muraadon Ki Hansin Raat Kise Pesh Karun, Kise Pesh Karun

Kise Pesh Karun
Kise Pesh Karun
Kise Pesh Karun...

Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song Lyrics - Uran Khatola (1955)


Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song Lyrics from Hindi Movie Uran Khatola (1955). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song was composed by  Naushad Ali, with the lyrics penned by Shakeel Badayuni.

Mohabbat Ki Rahon Mein Chalna Song Lyrics


Mohabbat Kee Raahon Mein, Chalanaa Sanbhal Ke
Yahaa Jo Bhee Aayaa, Gayaa Haath Mal Ke
Mohabbat Ki Raahon Mein.......................

Naa Paayee Kisee Ne, Mohabbat Kee Manzil
Qadam Dagamagaayen, Zaraa Door Chal Ke
Mohabbat Ki Raahon Mein.......................

Humen Dhoondhatee Hai, Bahaaron Kee Duniyaa
Kahaa Aa Gaye Hum Chaman Se Nikal Ke
Mohabbat Ki Raahon Mein.......................

Kahee Toot Jaaye Naa, Hasarat Bharaa Dil
Na Yoon Teer Phenko, Nishaanaa Badal Ke
Mohabbat Ki Raahon Mein.......................

Toote Huye Khwabon Ne Song Lyrics - Madhumati (1958)


Toote Huye Khwabon Ne Song Lyrics from Hindi Movie Madhumati (1958). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Toote Huye Khwabon Ne Song was composed by  Salil Chowdhury, with the lyrics penned by Shailendra.

Toote Huye Khwabon Ne Song Lyrics


(Tute huye khwabo ne hamko yeh sikhaya hain
 Dil ne Dil ne jise paya tha, aakhon ne gawaya hain) -2
 Tute huye khwabo ne

Ham dhundhate hain jinko, jo mil ke nahee milate
Ruthe hain na jane kyo, mehuman woh mere dil ke
mehuman woh mere dil ke

Kya apanee tamanna thee, kya samane aaya hain
Dil ne Dil ne jise paya tha, aakhon ne gawaya hain
Tute huye khwabo ne hamko yeh sikhaya hain
Dil ne Dil ne jise paya tha, aakhon ne gawaya hain
 Tute huye khwabo ne

 Laut aayee sada meree, takara ke sitaro se
 Ujadee huyee duniya ke, sunsan kinaron se
 Par abb yeh tadapana bhee kuchh kam na aaya hain
Dil ne jise paya tha, aakhon ne gawaya hain
Tute huye khwabo ne 

Chale The Saath Milkar Song Lyrics - Haseena Maan Jayegi (1969)


Chale The Saath Milkar Song Lyrics from Hindi Movie Haseena Maan Jayegi (1969). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Chale The Saath Milkar Song was composed by  Akhtar Romani, with the lyrics penned by Kalyanji Anandji.

Video: Chale The Saath Mil Kar- Haseena Maan Jayegi (1968) -Shashi Kapoor - Babita


Chale The Saath Milkar Song Lyrics 


chale the saath milke chalenge saath milkar
chale the saath milke chalenge saath milkar
tumhe rukna padega meri aawaaz sunkar
chale the saath milke chalenge saath milkar
tumhe rukna padega meri aawaaz sunkar
chale the saath milke

ho hamari jaan legi tumhari yeh adayen
hume jeene na degi tumhari yeh nigahen
samajh lo baat idl ki tumhe denge duvayen
chale the sath milke chalenge sath milkar
tumhe rukna padega meri aawaz sunkar
chale the saath milke

bada pyasa hai yeh dil isse madhosh kar do
bhadak uthe hai shole inhe khamosh kar do
hamaara hosh le lo hume behosh kar do
chale the saath milke chalenge saath milkar
tumhe rukna padega meri aawaaz sunkar
chale the saath milke

Sunday, 5 January 2014

Kaun Kisi Ko Bandh Saka Hai Song Lyrics - Kaalia (1981)


Kaun Kisi Ko Bandh Saka Hai Song Lyrics from Hindi Movie Kaalia (1981). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Kaun Kisi Ko Bandh Saka Hai Song was composed by  R.D. Burman, with the lyrics penned by Majrooh Sultanpuri.

Kaun Kisi Ko Bandh Saka Hai Song Lyrics


Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa
Haan.. Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa, Sayyaad To Ik Diwaanaa Hai
Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaana Hai
Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa, Sayyaad To Ik Diwaanaa Hai
Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai

Angadaai Le Kar Ke Jaagi Hai Naujawaani -2
Sapane Naye Hain Aur Zanjeer Hai Puraani
Paharedaar Faanke Se
Baraso Raam Dhadaake Se
Hoshiyaar Bhai Sab Hoshiyaar
Raat Andheri, Rut Barakha Aur Gaafil Saaraa Zamaana Hai

Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai
Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa, Sayyaad To Ik Diwaanaa Hai
Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai


O O O O Ho. A
( Khidaki Se Rukata Hai Jhonka Kahin Hawa Ka
Hil Jaayen Deewaaren Aisaa Karo Dhamaakaa ) -2
Bole Dhol Taashe Se
Baraso Raam Dhadaake Se
Hoshiyaar Bhai Sab Hoshiyaar
Dekh Ke Bhi Na, Koi Dekhe, Aisaa Kuchh Rang Jamaana Hai

Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai
Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa, Sayyaad To Ik Diwaanaa Hai
Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai

Kah Do Shikaari Se Phanda Lagaa Ke Dekhe -2
Ab Jisamen Himmat Ho, Raste Men Aa Ke Dekhe
Nikalaa Sher Haanke Se
Baraso Raam Dhadaake Se
Jaane Waale Ko Jaana Hai Aur, Seena Taan Ke Jaana Hai

Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai

Chorus: ( Kaun Kisi Ko Baandh Sakaa, Sayyaad To Ik Diwaanaa Hai
Tod Ke Pinjaraa, Ek Na Ek Din, Panchhi Ko Ud Jaanaa Hai ) -2

Ye Khidki Jo Band Rehti Hai Song Lyrics - Main Tulsi Tere Aangan Ki -1978


Ye Khidki Jo Band Rehti Hai Song Lyrics from Hindi Movie Main Tulsi Tere Aangan Ki (1978). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Ye Khidki Jo Band Rehti Hai Song was composed by Laxmikant Pyarelal, with the lyrics penned by Anand Bakshi.

Ye Khidki Jo Band Rehti Hai Song Lyrics


Meri dushman hai yeh meri uljhan hai yeh
Bada tadapati hai dil tarsati hai yeh khidki
Khidki yeh khidki, yeh khidki jo bandh raheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai

Meri dushman hai yeh meri uljhan hai yeh
Bada tadapati hai dil tarsati hai yeh khidki
Khidki yeh khidki, yeh khidki jo bandh raheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai

Lagta hai mela na jaane kahan
Ashiq jama hotey hai yahan
Arey sabko pata hai yeh dastaan
Is ghar me hai ek ladki jawan
Ankhen jhuka ke guzro is gali se
Aane jaanewalon se kaheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai

Gham ki ghata hai ye chhat jayengi
Baaho se deewar pahat jayengi
Jab samne se ye hat jayengi
Ghunghat main gori simat jayengi
Ik roj khul jayengi tut ke ye kitani
Nazro ke tir sehati hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai

Aaye kabhi chaubharey main woh
Kuch sochey mere bharey main owh
Arey baaten karen jo ishare me woh
Baithi kadi chaubarey main woh
Us paar woh hai aur iss paar main
Nadiya beech main baheti hai
Yeh khidki jo bandh raheti hai.

Jude Mein Gajra Mat Bandho Lyrics - Dhoop Chhaon (1977)


Jude Mein Gajra Mat Bandho Lyrics from Hindi Movie Dhoop Chhaon (1977). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Jude Mein Gajra Mat Bandho was composed by Shankar Jaikishan, with the lyrics penned by Virendra Mishra.

Jude Mein Gajra Mat Bandho Lyrics


jude main gajra mat baandho mera geet mehak jaayega
Jude main gajra mat baandho mera geet mehak jaayega
teri preet sulag jaayegi mera pyaar chalak jaayega
joode main gajra mat bandho mera geet mehak jaayega
jitni nazar jhukaaogi tum utni nazar lagegi tumko
jitni nazar jhukaaogi tum utni nazar lagegi
nainon mein kajra mat daalo
Nainon mein kajra mat daalo
Koi raah bhatak jaayega
Jude main gajra mat baandho Mera geet mehak jaayega
teri preet sulag jaayegi mera pyaar chhalak jaayega
ho joode main gajra mat bandho mera geet mehak jaayega
Jab tum leti ho angdaayi dil ki dhadkan badh jaati hai
Jab tum leti ho angadayi dil ki dhadakan badh jaati
Pairon mein ghunghroo mat baandho
Pairon mein ghunghroo mat baandho
Koi saaz kehak jaayega

jude main gajra mat baandho Mera geet mehak jaayega
teri preet sulag jaayegi mera pyaar chhalak jaayega
ho joode main gajra mat bandho mera geet mehak jaayega
tere angon ki thirkan mein pyaase geeton ka sargam hai
Tere angon ki thhirkan mein pyaase geeton ka sargam
Saj dhaj kar itna mat dolo
Saj dhaj kar itna mat dolo
Mera raag behak jaayega
ho jude main gajra mat bandho mera geet mehak jaayega
teri preet sulag jaayegi Mera pyaar chhalak jaayega
ho jude main gajra mat bandho
Mera geet mehak jaayega

Sagar Nahi Hai To Kiya Hai Song Lyrics - Naatak (1975)


Sagar Nahi Hai To Kiya Hai Song Lyrics from Hindi Movie Naatak (1975). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of Sagar Nahi Hai To Kiya Hai Song was composed by Laxmikant Pyarelal, with the lyrics penned by Rajendra Krishan.

Sagar Nahi Hai To Kiya Hai Song Lyrics


Sagar nahi hai to kya hai
Sagar nahi hai to kya hai
Teri aankh ka nasha to hai
Badal nahi hai to kya hai
Badal nahi hai to kya hai
Teri zulf ki ghata to hai
Sagar nahi hai to kya hai

Meri tamana thi mehfil se
Tum ye uth ke jane lage ho
Aisi bhi kya berukhi ruth kar
Humse aankhe churane lage
Ho churane lage ho
Mausam nahi hai to kya hai
Mauka ye pyar ka to hai
Sagar nahi hai to kya hai

Teri zulf ke ghane saye me
Char pal sath tere jiyenge
Sagar se roz pite hai
Aaj teri nazar se piyenge
Nazar se piyenge
Sakhi nahi hai to kya hai
Ek shok dilruba to hai
Sagar nahi hai to kya hai

Shayad yahi ha kayamat ki rat
Man lene ko ji chahata hai
Teri kasam aaj dil hi nahi
Jaan dene ko ji chahata hai
Ji chahata hai
Katil nahi hai to kya hai
Kafir teri ada to hai
Sagar nahi hai to kya hai
Sagar nahi hai to kya hai.

O Meri Sun Le Din Dayal Song Lyrics - Thokar (1974)


O Meri Sun Le Din Dayal Song Lyrics from Hindi Movie Thokar (1974). The song has sung by Mohammad Rafi and Music of O Meri Sun Le Din Dayal Song was composed by Shamji Ghanshaam ji, with the lyrics penned by Sajan Dehlvi.

O Meri Sun Le Din Dayal Song Lyrics


O meri sun le dindayal
karde mujhko malamaal meri latri nikal
murli wale nandlal
O meri sun le dindayal
karde mujhko malamaal meri latri nikal
murli wale nandlal
meri sun le dindayal

sota hu footpath pe pas nahi hai bistar
he parbhu ji
sota hu footpath pe pas nahi hai bistar
biwi bangala car dilale
jab de prime minister
mai to ho mai to karu bukh hadtal
tere dar pe ho nandlal
meri latri nikal
murli wale nandlal
meri sun le dindayal

hariyana ma mahsur udisa ya nikle madras
hariyana ma mahsur udisa ya nikle madras
dilli u p ki rahti hau mujhko hardam aas
ho firta hu ho firta hu dar dar behal
ud gaye mere sar ke bal
meri latri nikal
murli wale nandlal
meri sun le dindayal

panch lakh ki aaye latri
fir dhundhu gharwali
panch lakh ki aaye latri
fir dhundhu gharwali
nakti chapti moti patli
ho gori ya kali
ho aisa ho aisa chakkar chelaa jagpal
mai be chalu seth ki chal
O meri sun le dindayal
karde mujhko malamaal meri latri nikal
murli wale nandlal
meri sun le dindayal

murli wale nandlal
murli wale nandlal